Saturday, May 16, 2015

Ajeeb si zindagi...


Aaj bhaithe bhaithe humare zehan mein ek khayal aaya, yeh zindagi bhi kitni ajeeb hai.

Jis phool ko chahte hai, 
ussi ko sabse pehle thodte hai.

Jo maa bachpan se sab kuch karti hai, 
usse hi bhudape mein chhodte hai.

Jo zindagi bhar pyaar karne ke kasame khaate hai,
wahi log dil thod kar chale jaate hai.

Log kehte hai jaan dene ke liye tayar hai,
musibaat aate dehk unhi logon ka boriya bistar tayaar hai.

 Zindagi bhar dosti nibaane ke waade dete hai,
aur ek choti si galat faimi ke wajaj se  dosti tod jaate hai.

Jo zindagi bhar wafa karne ka wada karte hai,
wohi log aaj nazrein milane se katrate hai.

Dusro ke jeene ki wajah ban'ne wale,
khud khuda ke ghar chale jaate hai...


...ye zindagi bhi kitni ajeeb hai


No comments:

Post a Comment